SURAH YASEEN Lesson no: 1

بسم اللّٰہ الرحمٰن الرحیم 🌼
Surah Yasin___Ayat (1,2,3)
Yasin tafseel:
“امام احمد”،”ابو داؤد”، “نسائی”، “ابن ماجہ” اور” طبرانی” نے “معقل بن یسار” سے روایت کیا ہے کہ “حضرت محمد صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم”نے فرمایا
“یٰس قلب القراٰن،
یعنی یہ سورت قرآن کا دل ہے”
r yh bat to yaqeenan hm sabhi jantay hon gay k Surah Yasin ko Quran pak ka dill kaha gaya hai
is lia jis trha kisi kam k krnay k lia hamaray dill ka razi hona zroori hai isi lia Qu k “Surah Yasin” ko “Qalb_Al_Quran” kaha gaya hai to Sb say pehlay isi surah (Surah Yasin) k tarjama prhnay ka intekhab kiya gaya.
Yh surah Hazrat Muhammad (S.A.W.W) pr us waqt nazil howi jb Kufar Quraish Ap [Hazrat Muhammad (S.A.W.W)] ko Allah ka Nabi (Rasool) manenay pr bilkul tayar na thy To Allah pak Nay Surah k shuru ki yani 2 r 3 ayat m Quran Pak ki qasam khae r frmaya k “Aa Muhammad (s.a.w.w) Beyshak Ap rasoolon m say hn”
Surah Yasin ka tarjama prhna sb say pehlay is lia bhi zroori samjha gaya Qu k is Surah k tarjama say andaza ho jay ga k yh Surah

iman ko tazar kr denay k lia kafi hai r bayshak mukamal Quran ko samajh kr prhna hamaray iman ki pokhtagi ki bari waja banay ga INSHALLAH ♥
lekin hamen chahiay k hm jb bhi kisi gher muslim ko islam ki dawat deyn to hmn usay Surah Yasin Sunani chahiay jis k lia hmn khod ko hi pehlay is surah ka tarjama aana zroori hai💛…….

شکریہ اپنی رائے کا اظہار ضرور کیجیے گا

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *